'Hai nafs k hathon hum majbor KITNA,
“Sab jaan k bhi hain aj la-shahoor KITNA,
“Jis chehry ne hai ek din matti men mil jana,
“Us chehry pe hy hmain gharoor KITNA,
“Ek sajde k inkar ne IBLEES ko shaitaan bana diya,
“Hum khud jaan lain humara hy qasoor KITNA,
“Jin ki sunnat pe chalna humain gawara nahi,
“humary wasty rowye they woh HUZOOR KITNA,
“humne chakhi hy fakat gunahon ki lazzatt,
“hum kiya jane Zikr-E-Elahi men hy suroor KITNA,
“humari shehrag sy bhi ziyda jo humary qareeb hy,
“Phir bhi hum us khuda se hain door KITNA.'

______________________________________________________________

'Badla jo wakt ghehri rafaaqat badal gaee,  
Suraj dhala tu saaye ki surat badal gaee
Ek muddat tak mein us ki zaroorat bana raha,
Phir yun huwa ke us ki zaroorat badal gae.'

______________________________________________________________

'barishn k mosam main,
tum ko yaad krny ki,
adaten purani hen,
ab k bar socha hei,
aadaten badal daln,
phr khayal aya k,
aadaten badalny se,
barishen nahi ruktein'

______________________________________________________________

'Barish ki tarha boondo nay jab dastak dee darwaze par.
Mehsoos hua tum aaye ho, andaz tumhare jesa tha..

Hawa k halkay jhonkay nay jab aahat ki khirki par.
Mehsoos hua tum chaltay ho, Andaz tumhare jesa tha..

Main nay boondon ko apne hath par tapkaya tou
Ek sard sa ehsas hua, Lams tumhare jesa tha..

Main tanha chala jab barish me, Ek jhonke nay sath diya.
Main samjha tum sath ho meray, Ehsas tumhary jesa tha..

Phir ruk gayi wo barish bi, rahi na baki aahat bi
Main samjha muje tum chor gaye, andaaz tumhare jesa tha.'

______________________________________________________________

'Ye Baarishon K Mousam
Bas Tum Hi Se hain Wabasta
k Mohabbaton Main Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hai
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se'

______________________________________________________________

'Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga
Ab Bhi Bhegge Barish Mein Woh Ban Kay Chatri Chalta Hoga
Mujhsay Bichray Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga
Acha Tha Jo Sath Hi Rhety Baad Mein Os Nay Soccha Hoga
Apnay Dil Ki Sari Baatain Khud Say Khud Hi Karta Hogaa ?'

______________________________________________________________

'Suna hai barish usay bhi pasand hay
wo bhi meri tarhan barasti bondon ko hathon may samayt leti hay

Suna hay Phool usay bhi pasand hain
Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay

Suna hay chand usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay

Suna hay tanhai usay bhi pasand hay Wo bhi meri tarhan?.
Par wo tanha beth kar kis ko sochti hay?

Sari batain sachi hain Magar Ye bhi sach hay
Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi'

______________________________________________________________

'Ye mosam barish ka ab pasand nahi mujy,,

maray apnay ansoo hi bohat hain mery bheeg jany k liye

______________________________________________________________

'Us ko maloom tha k mujhy barsat se muhabbat hai Nadeem
esi liye wo meri ankhon ko barasta hua chor gaya'

______________________________________________________________

''Ansoo a jate hain ankhon main,
Par labon par hansi lani parhti hai,
Yeh mohabbat b kiya cheez hai Faraz,
Jiss se karte hain ussi se chupani parhti hai,''

______________________________________________________________

'It Is Nice
When Someone Holds
Umbrella For You In The
Rain ...
But
It Is The Most Wonderful
If Someone Holds Your Hand
And Runs Crazily With You
In The Rain'

______________________________________________________________

'ay kash k tu dakh saky meri barasti ankhain
har raat ye ankhain tuje yaad kr k rooti hain

Copyright © 2015 All Rights Reserved